Nayi kahani aur Naye kirdaar | Poem | BluePencilSharpner
Aur bohot kuch khoya maine pichle saal
Kayi kahaniya adhoori chod di
Kayi kirdaaro se mulakate reh gyi
Kuch raste adhoore chod aaya
Aur kuch mazilon tak pohonch nhi paaya
Kuch is tarah ek aur baar wo sab
bas thoda thoda kar ke aagya
Ha kuch kirdaaro k jaane ka dukh bhi hai
Par mujhe yakeen hai unki kahani me mera krdaar bas yahi tak tha
Manzil dhundne nikla tha
jab kuch naye kirdaar
Raste se utha ke jeb me bhar liye maine
Bohot baate bhi hui unse
Kafi hasi mazak aur zindgi ki smajh bhi mili
Ye samaj me aaya ki kya zaruri hai aur kya zarurat hai
Kya samjhdaari hai aur kya samajh
Kya nirnay hai aur kya bhagya
Soch raha hu ki ye naya saal kuch alag jeeyunga
Kuch naye raaste bhi uthaunga is baar
Aur is baar manzil tak ka safar tay krna hai mujhe
Jo kho gaya so kho gaya
Aur jo mil gaya wo mera
Is saal k pehle din k saath
ek naye safar ki shuruwat kr raha hu main
Kuch naye kuch purane kirdaar honge is baar kahani main
Kuch nyi kahaniya bhi hongi
Aur is baar kahani pe niyantran bhi hoga
Kuch nyi smajh
Aur kuch tasalli k saath aage badhne ka waqt bhi aagya
Aur alvida kehne k saath saath
phir milne ki umeed bhi deke aaya hu
Ab manzil chahe kaisi bhi ho
Safar ka maza lootna aata hai mujhe
Chalo ab jaata hu
Kahani aage bhi to likhni hai
-Shantanu Singh
Comments
Post a Comment
The world is much more complex than anyone can ever define. Use your words to define it in your way below.