Nayi kahani aur Naye kirdaar | Poem | BluePencilSharpner
Aur bohot kuch khoya maine pichle saal Kayi kahaniya adhoori chod di Kayi kirdaaro se mulakate reh gyi Kuch raste adhoore chod aaya Aur kuch mazilon tak pohonch nhi paaya Kuch is tarah ek aur baar wo sab bas thoda thoda kar ke aagya Ha kuch kirdaaro k jaane ka dukh bhi hai Par mujhe yakeen hai unki kahani me mera krdaar bas yahi tak tha Manzil dhundne nikla tha jab kuch naye kirdaar Raste se utha ke jeb me bhar liye maine Bohot baate bhi hui unse Kafi hasi mazak aur zindgi ki smajh bhi mili Ye samaj me aaya ki kya zaruri hai aur kya zarurat hai Kya samjhdaari hai aur kya samajh Kya nirnay hai aur kya bhagya Soch raha hu ki ye naya saal kuch alag jeeyunga Kuch naye raaste bhi uthaunga is baar Aur is baar manzil tak ka safar tay krna hai mujhe Jo kho gaya so kho gaya Aur jo mil gaya wo mera Is saal k pehle din k saath ek naye safar ki shuruwat kr raha hu main Kuch naye kuch purane kirdaar honge is baar kahani main Kuc...