Kashi ki Kahani | Poem | BluePencilSharpner
Mulakaat hui aakhir kaar usse meri
Baithi thi ghaat k kinaare
Kisi ki pratiksha krte hue
Na naam pata na koi jaankaari thi uski
Baith gaya uska paas jaake
Kaafi kuch bataya use maine apni zindgi ki baare me
Ki kya kahaniya hai meri
kya jee raha hu main
kya kar raha hu is nagri me
is ghaat k paas
Kuch na bola usne
Mano khamosh thi wo
Muskura kar bas dekhti rahi
Us dhamakte diye ki roshni ko pani me jaate hue
Ek lambi saans bharke
apna samaan smatete hue
mujhe dekha aur boli
“Baat ye nhi tum yaha aaye,
Baat ye ki tum abhi bhi yaha ho.
Rishta hai tumhara is nagri si,
Baandh liya hai tumhe is chamak ne.
Ye jo keh rahe the tum,
Apni zindgi k baar me.
Zara lambi saans to leke btao
Zinda kaha ho tum?
Kya ye zinda, zinda hai
Ya wo zindgi zinda hai.
Aksar ajati hui is ghaat k paas
Maathe pe chandan lagake.
Ek haath me ghat ka pani leke
khudke sar pe chadha leti hui
Dhalte suraj k saath ek aur alvada kehjaati hu.
Jab bhi lage ki kahani adhori hai tumhari,
To bina soche ye yaad karlena,
Kahani zaruri thi
Ya kahani mahatava
Chalo ab jaati hu,
Is dhalte suraj k saath is yaad ko bhi bhula dena.
Hum mile ye kaafi tha,
Kahani agar hui puri,
To mujhe bhi ek kirdaar bana dena.”
Naam to batati jaao
“Kaashi naam hai mera”
-Shantanu Singh
Comments
Post a Comment
The world is much more complex than anyone can ever define. Use your words to define it in your way below.